pahuncha hun jahan maine badal di hain fazaen
pahuncha hun jahan maine badal di hain fazaen
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
pahuñchā huuñ jahāñ maiñ ne badal dī haiñ fazā.eñ
aate hī mubaddal huiiñ aahoñ se havā.eñ
niklī haiñ lab-e-tishna se aaheñ ki havā.eñ
har sū chalī aatī haiñ ghir-ghir ke ghaTā.eñ
ye abr ye manzar ye havā.eñ ye fazā.eñ
kyā shāhid fitrat kī haiñ mastāna adā.eñ
vo muntazir is ke haiñ ki āñkheñ to milā.eñ
ab hazrat-e-'majzūb' zarā hosh meñ aa.eñ
aa.eñ to vo kyuuñ kar mirī pahañchān meñ aa.eñ
be-rañg haiñ sau rañg kī lekin haiñ qabā.eñ
mahfil meñ zarā ham se vo āñkheñ to milā.eñ
jo dil meñ hai kah jaa.eñ sab aur lab na hilā.eñ
'majzūb' 'ajab un kī haiñ mastāna adā.eñ
har haal meñ hai kaif rulā.eñ ki hañsā.eñ
pahuncha hun jahan main ne badal di hain fazaen
aate hi mubaddal huin aahon se hawaen
nikli hain lab-e-tishna se aahen ki hawaen
har su chali aati hain ghir-ghir ke ghaTaen
ye abr ye manzar ye hawaen ye fazaen
kya shahid fitrat ki hain mastana adaen
wo muntazir is ke hain ki aankhen to milaen
ab hazrat-e-'majzub' zara hosh mein aaen
aaen to wo kyun kar meri pahanchan mein aaen
be-rang hain sau rang ki lekin hain qabaen
mahfil mein zara hum se wo aankhen to milaen
jo dil mein hai kah jaen sab aur lab na hilaen
'majzub' 'ajab un ki hain mastana adaen
har haal mein hai kaif rulaen ki hansaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.