jo chup baiThun to ek koh-e-giran malum hota hun
jo chup baiThun to ek koh-e-giran malum hota hun
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jo chup baiThūñ to ik koh-e-girāñ ma'alūm hotā huuñ
jo lab kholūñ to dariyā-e-ravāñ ma'alūm hotā huuñ
alag sab se huuñ sab ke darmiyāñ ma'alūm hotā huuñ
kahāñ pahuñchā huā huuñ maiñ kahāñ ma'alūm hotā huuñ
maiñ yuuñ to zāhido ik qatra-e-nā-chīz huuñ be-shak
magar pī luuñ to bahr-e-be-karāñ ma'alūm hotā huuñ
maiñ huuñ ham-bazm-e-ahl-e-dil bhī aur ham-bazm-e-rindāñ bhī
vahāñ mahsūs hotā huuñ yahāñ ma'alūm hotā huuñ
dar-e-jānāñ pe jis dam Tek detā huuñ jabīñ apnī
sar-e-'arsh-e-barīñ phir be-gumāñ ma'alūm hotā huuñ
tasavvur ne kisī ke merī duniyā hī badal Daalī
kahāñ ma'alūm hotā thā kahāñ ma'alūm hotā huuñ
kisī kī yaad ne kyā rafta rafta kar diyā mujh ko
bas ab ik paikar-e-vahm-o-gumāñ ma'alūm hotā huuñ
jo chup baiThun to ek koh-e-giran ma'alum hota hun
jo lab kholun to dariya-e-rawan ma'alum hota hun
alag sab se hun sab ke darmiyan ma'alum hota hun
kahan pahuncha hua hun main kahan ma'alum hota hun
main yun to zahido ek qatra-e-na-chiz hun be-shak
magar pi lun to bahr-e-be-karan ma'alum hota hun
main hun ham-bazm-e-ahl-e-dil bhi aur ham-bazm-e-rindan bhi
wahan mahsus hota hun yahan ma'alum hota hun
dar-e-jaanan pe jis dam Tek deta hun jabin apni
sar-e-'arsh-e-barin phir be-guman ma'alum hota hun
tasawwur ne kisi ke meri duniya hi badal Dali
kahan ma'alum hota tha kahan ma'alum hota hun
kisi ki yaad ne kya rafta rafta kar diya mujh ko
bas ab ek paikar-e-wahm-o-guman ma'alum hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.