fikr-e-in-o-an ne jab mujhko pareshan kar diya
fikr-e-in-o-an ne jab mujhko pareshan kar diya
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
fikr-e-īñ-o-āñ ne jab mujh ko pareshāñ kar diyā
maiñ ne sar nazr-e-junūn-e-fitna-sāmāñ kar diyā
dard-e-dil ne aur sab dardoñ kā darmāñ kar diyā
'ishq kī mushkil ne har mushkil ko āsāñ kar diyā
tum ne un ko kyā se kyā shauq-e-farāvāñ kar diyā
pahle jaañ phir jān-e-jāñ phir jān-e-jānāñ kar diyā
zulf-o-ruḳh ko Dhāñkiye ye bhī koī andāz hai
is ko hairāñ kar diyā us ko pareshāñ kar diyā
harche baada baad mā kashtī dar aab andākHtem
kar ke jur.at un se aaj iz.hār-e-armāñ kar diyā
mujh ko sūjhā bhī to ai 'majzūb' vahshat kā 'ilāj
maiñ ne dil vabasta-e-zulf-e-pareshāñ kar diyā
fikr-e-in-o-an ne jab mujh ko pareshan kar diya
main ne sar nazr-e-junun-e-fitna-saman kar diya
dard-e-dil ne aur sab dardon ka darman kar diya
'ishq ki mushkil ne har mushkil ko aasan kar diya
tum ne un ko kya se kya shauq-e-farawan kar diya
pahle jaan phir jaan-e-jaan phir jaan-e-jaanan kar diya
zulf-o-ruKH ko Dhankiye ye bhi koi andaz hai
is ko hairan kar diya us ko pareshan kar diya
harche baada baad ma kashti dar aab andakHtem
kar ke jurat un se aaj izhaar-e-arman kar diya
mujh ko sujha bhi to ai 'majzub' wahshat ka 'ilaj
main ne dil wabasta-e-zulf-e-pareshan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.