jo surat-gir husn-o-ishq ki duniya kahin hoti
jo surat-gir husn-o-ishq ki duniya kahin hoti
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jo sūrat-gīr husn-o-'ishq kī duniyā kahīñ hotī
tire zau kā falak bantā mirī zil kī zamīñ hotī
bas ab to ham-damoñ koī jagah aisī kahīñ hotī
akele baiThe rahte yaad un kī dil-nashīñ hotī
dikhā dete maza phir tum ko ham apne taḌapne kā
jo 'ālam be-falak hotā jo duniyā be-zamīñ hotī
sitāroñ ko ye hasrat hai ki hote vo mire aañsū
tamannā kahkashāñ ko hai vo merī āstīñ hotī
nahīñ karte haiñ va'ada diid kā vo hashr se pahle
dil-e-betāb kī zid hai abhī honī haiñ hotī
zarā dekho to tum insāf se 'majzūb' kī hai.at
mohabbat ke riyā-kāroñ kī ye sūrat nahīñ hotī
jo surat-gir husn-o-'ishq ki duniya kahin hoti
tere zau ka falak banta meri zil ki zamin hoti
bas ab to ham-damon koi jagah aisi kahin hoti
akele baiThe rahte yaad un ki dil-nashin hoti
dikha dete maza phir tum ko hum apne taDapne ka
jo 'alam be-falak hota jo duniya be-zamin hoti
sitaron ko ye hasrat hai ki hote wo mere aansu
tamanna kahkashan ko hai wo meri aastin hoti
nahin karte hain wa'ada did ka wo hashr se pahle
dil-e-betab ki zid hai abhi honi hain hoti
zara dekho to tum insaf se 'majzub' ki haiat
mohabbat ke riya-karon ki ye surat nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.