na lo nam-e-ulfat jo KHuddariyan hain
na lo nam-e-ulfat jo KHuddariyan hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
na lo nām-e-ulfat jo ḳhuddāriyāñ haiñ
bahut zillateñ haiñ baḌī ḳhvāriyāñ haiñ
nahīñ pūchh kuchh 'ishq meñ ḳhud-suroñ kī
yahāñ sarfaroshoñ kī sardāriyāñ haiñ
jo āsān samjho to hai 'ishq āsāñ
jo dushvār kar lo to dushvāriyāñ haiñ
lagī rahtī hai aag sī tan-badan meñ
ragoñ meñ lahū hai ki chiñgāriyāñ haiñ
khulī jab se duniyā kī ham par haqīqat
na ḳhushiyāñ rahī haiñ na bezāriyāñ haiñ
lagī aañkh 'majzūb' kis mah-laqā se
batā kyuuñ ye rātoñ kī bedāriyāñ haiñ
na lo nam-e-ulfat jo KHuddariyan hain
bahut zillaten hain baDi KHwariyan hain
nahin puchh kuchh 'ishq mein KHud-suron ki
yahan sarfaroshon ki sardariyan hain
jo aasan samjho to hai 'ishq aasan
jo dushwar kar lo to dushwariyan hain
lagi rahti hai aag si tan-badan mein
ragon mein lahu hai ki chingariyan hain
khuli jab se duniya ki hum par haqiqat
na KHushiyan rahi hain na bezariyan hain
lagi aankh 'majzub' kis mah-laqa se
bata kyun ye raaton ki bedariyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.