ye kaun aaya ki dhimi paD gai lau shama ki
ye kaun aaya ki dhimi paD gai lau shama ki
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
ye kaun aayā ki dhīmī paḌ ga.ī lau sham.a kī
patañgoñ ke 'evaz uḌne lagīñ chiñgāriyāñ dil kī
bahut ḳhush haiñ abhī khul jaa.eñ āñkheñ ahl-e-mahfil kī
kā pesh-e-nazar kar duuñ maiñ bazm-ārā.īyāñ dil kī
bas ab kyā ġham ye sun lī hai bashārat pīr-e-kāmil kī
safīr-e-kāmyābī haiñ yahī nākāmiyāñ dil kī
hameñ to raat din ai ham-safar chalne se matlab hai
safar mahdūd ho jin kā unheñ ho fikr manzil kī
kahīñ kaun-o-makāñ meñ jo na rakhī jā sakī ai dil
ġhazab dekhā vo chiñgārī mirī miTTī meñ shāmil kī
ye kaun aaya ki dhimi paD gai lau shama ki
patangon ke 'ewaz uDne lagin chingariyan dil ki
bahut KHush hain abhi khul jaen aankhen ahl-e-mahfil ki
ka pesh-e-nazar kar dun main bazm-araiyan dil ki
bas ab kya gham ye sun li hai bashaarat pir-e-kaamil ki
safir-e-kaamyabi hain yahi nakaamiyan dil ki
hamein to raat din ai ham-safar chalne se matlab hai
safar mahdud ho jin ka unhen ho fikr manzil ki
kahin kaun-o-makan mein jo na rakhi ja saki ai dil
ghazab dekha wo chingari meri miTTi mein shamil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.