hasinon mein dil lakh bahla rahe hain
hasinon mein dil lakh bahla rahe hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
hasīnoñ meñ dil laakh bahlā rahe haiñ
magar haaye phir bhī vo yaad aa rahe haiñ
tasavvur meñ vo bār-bār aa rahe haiñ
jhalak apnī parde se dikhlā rahe haiñ
kahīñ vo to dekho nahīñ aa rahe haiñ
ki ham dard-e-dil meñ kamī pā rahe haiñ
marīz-e-mohabbat meñ ab kyā dharā hai
jo baaqī haiñ vo saañs aa jā rahe haiñ
are uf ġhazab haiñ ye āñkheñ nashīlī
sambhālo are ham gire jā rahe haiñ
yahāñ un ko aanā nahīñ hai to phir kyuuñ
tasavvur meñ aa aa ke tarsā rahe haiñ
ye sab soch kar dil lagāyā hai nāseh
na.ī baat kyā aap farmā rahe haiñ
mujhe yaas kyuuñ ho ki vo dil meñ baiThe
barābar tasallī diye jā rahe haiñ
maiñ 'majzūb' huuñ kuchh samjhe to nāseh
bhalā aap bhī kis ko samjhā rahe haiñ
hasinon mein dil lakh bahla rahe hain
magar haye phir bhi wo yaad aa rahe hain
tasawwur mein wo bar-bar aa rahe hain
jhalak apni parde se dikhla rahe hain
kahin wo to dekho nahin aa rahe hain
ki hum dard-e-dil mein kami pa rahe hain
mariz-e-mohabbat mein ab kya dhara hai
jo baqi hain wo sans aa ja rahe hain
are uf ghazab hain ye aankhen nashili
sambhaalo are hum gire ja rahe hain
yahan un ko aana nahin hai to phir kyun
tasawwur mein aa aa ke tarsa rahe hain
ye sab soch kar dil lagaya hai naseh
nai baat kya aap farma rahe hain
mujhe yas kyun ho ki wo dil mein baiThe
barabar tasalli diye ja rahe hain
main 'majzub' hun kuchh samjhe to naseh
bhala aap bhi kis ko samjha rahe hain
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.