wahan bhi koi bah kar ashk pahuncha hai magar apna
wahan bhi koi bah kar ashk pahuncha hai magar apna
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
vahāñ bhī koī bah kar ashk pahuñchā hai magar apnā
bahut yaad aa rahā hai aaj jo ġhurbat meñ ghar apnā
lagā de muñh se ḳhum saaqī ki haiñ muddat ke pyāse ham
na hogā halq bhī us shīsha-e-sāġhar se tar apnā
ye dard ai bad-gumāñ kuchh dekhne kī chiiz agar hotī
maiñ rakh detā tire aage kaleja chiir kar apnā
tahayyur yaas sozish girya naala aah ġham hasrat
bahaltā hai inhīñ āThoñ se dil āThoñ pahar apnā
na be-dardī se jā yuuñ nīm-bismil chhoḌ kar zālim
tire qurbān haañ ik aur bhī tīr-e-nazar apnā
shab-e-vasl us ko kab kaafī hai roz-e-hashr sun lenā
bahut afsāna tūlānī hai qissa muḳhtasar apnā
vo saudā de mujhe jis kā asar jam’iyyat-e-dil ho
banā de ai ḳhudā 'majzūb' ko āshufta-sar apnā
wahan bhi koi bah kar ashk pahuncha hai magar apna
bahut yaad aa raha hai aaj jo ghurbat mein ghar apna
laga de munh se KHum saqi ki hain muddat ke pyase hum
na hoga halq bhi us shisha-e-saghar se tar apna
ye dard ai bad-guman kuchh dekhne ki chiz agar hoti
main rakh deta tere aage kaleja chir kar apna
tahayyur yas sozish girya nala aah gham hasrat
bahalta hai inhin aaThon se dil aaThon pahar apna
na be-dardi se ja yun nim-bismil chhoD kar zalim
tere qurban han ek aur bhi tir-e-nazar apna
shab-e-wasl us ko kab kafi hai roz-e-hashr sun lena
bahut afsana tulani hai qissa muKHtasar apna
wo sauda de mujhe jis ka asar jam’iyyat-e-dil ho
bana de ai KHuda 'majzub' ko aashufta-sar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.