teri chashm-e-mai-gun hai jam-e-mohabbat
teri chashm-e-mai-gun hai jam-e-mohabbat
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
tirī chashm-e-mai-gūñ hai jām-e-mohabbat
tirī zulf-e-mushkīñ hai dām-e-mohabbat
mire sāmne lo na nām-e-mohabbat
chhalak jā.egā haaye jām-e-mohabbat
vo deñ jaam aur vo bhī jām-e-mohabbat
to pī le na kyuuñ tishna-kām-e-mohabbat
ḳhudā ke liye dam to lene de ai dil
are Thahar o tez-gām-e-mohabbat
ḳhatā to ḳhud un kī aur ilzām ham par
sab ulTā hī dekhā nizām-e-mohabbat
kabhī is ke dil meñ kabhī us ke dil meñ
kahīñ bhī nahīñ hai qiyām-e-mohabbat
mohabbat meñ lāzim haiñ rusvā.iyāñ bhī
mohabbat nahīñ nek-nām-e-mohabbat
koī der se sar jhukā.e khaḌā hai
are ab to le-le salām-e-mohabbat
ḳhudā tujh ko 'majzūb' rakkhe salāmat
tujhī se hai duniyā meñ nām-e-mohabbat
teri chashm-e-mai-gun hai jam-e-mohabbat
teri zulf-e-mushkin hai dam-e-mohabbat
mere samne lo na nam-e-mohabbat
chhalak jaega haye jam-e-mohabbat
wo den jam aur wo bhi jam-e-mohabbat
to pi le na kyun tishna-kaam-e-mohabbat
KHuda ke liye dam to lene de ai dil
are Thahar o tez-gam-e-mohabbat
KHata to KHud un ki aur ilzam hum par
sab ulTa hi dekha nizam-e-mohabbat
kabhi is ke dil mein kabhi us ke dil mein
kahin bhi nahin hai qiyam-e-mohabbat
mohabbat mein lazim hain ruswaiyan bhi
mohabbat nahin nek-nam-e-mohabbat
koi der se sar jhukae khaDa hai
are ab to le-le salam-e-mohabbat
KHuda tujh ko 'majzub' rakkhe salamat
tujhi se hai duniya mein nam-e-mohabbat
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.