dil jab hi dil hai jab us mein yaad-e-jaanana rahe
dil jab hi dil hai jab us mein yaad-e-jaanana rahe
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
dil jab hī dil hai jab us meñ yād-e-jānāna rahe
ghar jab hī ghar hai jab us meñ sāhab-e-ḳhāna rahe
ham to bas duniyā meñ mahv-e-dīd-e-jānāna rahe
ġhair to haiñ ġhair ḳhud apne se be-gāna rahe
'āshiqoñ meñ koī 'āqil koī dīvāna rahe
maiñ huuñ vo dīvāngī meñ bhī jo farzāna rahe
pher luuñ ruḳh pher luuñ har mā-sivā se pher luuñ
maiñ rahūñ aur sāmne bas rū-e-jānāna rahe
hai yahī dastūr sāġhar pur kabhī ḳhālī kabhī
ek hālat hī pe kyuuñ ye dil kā paimāna rahe
aa samā jā mujh meñ ho paivast-e-jāñ ai jān-e-jāñ
aañkh merī gulistāñ ho dil jilau-ḳhāna rahe
de rahe haiñ vo nidā aur tū hai baḌ meñ mubtalā
hosh are un kā to ai 'majzūb'-e-mastāna rahe
dil jab hi dil hai jab us mein yaad-e-jaanana rahe
ghar jab hi ghar hai jab us mein sahab-e-KHana rahe
hum to bas duniya mein mahw-e-did-e-jaanana rahe
ghair to hain ghair KHud apne se be-gana rahe
'ashiqon mein koi 'aqil koi diwana rahe
main hun wo diwangi mein bhi jo farzana rahe
pher lun ruKH pher lun har ma-siwa se pher lun
main rahun aur samne bas ru-e-jaanana rahe
hai yahi dastur saghar pur kabhi KHali kabhi
ek haalat hi pe kyun ye dil ka paimana rahe
aa sama ja mujh mein ho paiwast-e-jaan ai jaan-e-jaan
aankh meri gulistan ho dil jilau-KHana rahe
de rahe hain wo nida aur tu hai baD mein mubtala
hosh are un ka to ai 'majzub'-e-mastana rahe
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 204)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.