kya jaanen kis andaz se zalim ne nazar ki
kyā jāneñ kis andāz se zālim ne nazar kī
hālat hī digar-gūñ hai mire qalb-o-jigar kī
phuñktā huuñ shab-o-roz paḌā bistar-e-ġham par
hotī hai burī haaye lagī aag jigar kī
kaaTe nahīñ kaTtā tirī furqat kā zamāna
hotī nahīñ ab shaam jo mar mar ke sahar kī
aġhyār se hañs hañs ke kiyā karte haiñ bāteñ
parvā hī unheñ kyā hai kisī dīda-e-tar kī
andāz-e-taġhāful bhī to dil-kash hai tumhārā
jhaT pher liyā muñh ko jo bhūle se nazar kī
har lahza nigah kar ke girāte rahe bijlī
abhī ye ri'āyat hai mire soz-e-jigar kī
sab chhoḌ deñ us kushta-e-ġhaflat ko ḳhudā par
naaz un kā baḌhā aur bhī maiñ ne jo ḳhabar kī
kya jaanen kis andaz se zalim ne nazar ki
haalat hi digar-gun hai mere qalb-o-jigar ki
phunkta hun shab-o-roz paDa bistar-e-gham par
hoti hai buri haye lagi aag jigar ki
kaTe nahin kaTta teri furqat ka zamana
hoti nahin ab sham jo mar mar ke sahar ki
aghyar se hans hans ke kiya karte hain baaten
parwa hi unhen kya hai kisi dida-e-tar ki
andaz-e-taghaful bhi to dil-kash hai tumhaara
jhaT pher liya munh ko jo bhule se nazar ki
har lahza nigah kar ke giraate rahe bijli
abhi ye ri'ayat hai mere soz-e-jigar ki
sab chhoD den us kushta-e-ghaflat ko KHuda par
naz un ka baDha aur bhi main ne jo KHabar ki
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.