jo hum tark-e-’alaiq kar ke ku-e-yar mein aae
jo hum tark-e-’alaiq kar ke ku-e-yar mein aae
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jo ham tark-e-’alā.iq kar ke kū-e-yār meñ aa.e
to kHāristāñ se goyā gulshan-e-be-kHār meñ aa.e
maze sehat se baḌh kar 'ishq ke āzār meñ aa.e
na hargiz farq yārab hālat-e-bīmār meñ aa.e
tirī shīrīñ-zabānī kyā bhalā guftār meñ aa.e
maze iqrār ke ham ko tire inkār meñ aa.e
ḳhajil mahbūb sharminda pashemāñ ḳhvār nā-farmāñ
ġhulām-e-rū-siyah kyā le ke muñh darbār meñ aa.e
ġhazal-ḳhvāñ shādmāñ raqsāñ gahe giryāñ gahe ḳhandāñ
'ajab andāz se ham kūcha-e-dildār meñ aa.e
kahīñ 'ushshāq ke mele kahīñ jamghaT hasīnoñ ke
yahāñ kyā aa.e husn-o-'ishq ke bāzār meñ aa.e
chhuḌā kar jaan apnī be-tarah 'majzūb' bhāgā hai
ḳhudā hī hai jo phir vo lauT kar ghar-bār meñ aa.e
jo hum tark-e-’alaiq kar ke ku-e-yar mein aae
to kHaristan se goya gulshan-e-be-kHar mein aae
maze sehat se baDh kar 'ishq ke aazar mein aae
na hargiz farq yarab haalat-e-bimar mein aae
teri shirin-zabani kya bhala guftar mein aae
maze iqrar ke hum ko tere inkar mein aae
KHajil mahbub sharminda pasheman KHwar na-farman
ghulam-e-ru-siyah kya le ke munh darbar mein aae
ghazal-KHwan shadman raqsan gahe giryan gahe KHandan
'ajab andaz se hum kucha-e-dildar mein aae
kahin 'ushshaq ke mele kahin jamghaT hasinon ke
yahan kya aae husn-o-'ishq ke bazar mein aae
chhuDa kar jaan apni be-tarah 'majzub' bhaga hai
KHuda hi hai jo phir wo lauT kar ghar-bar mein aae
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 217)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.