mere dil mein wurud-e-jalwa-e-jaanana hota hai
mere dil mein wurud-e-jalwa-e-jaanana hota hai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
mire dil meñ vurūd-e-jalva-e-jānāna hotā hai
ye sab mā’mūra-e-’ālam abhī vīrāna hotā hai
nayā tauba-shikan jab dāḳhil-e-mai-kHāna hotā hai
na pūchho phir jo rañg-e-majlis-e-rindāna hotā hai
tarīq-e-'ishq meñ jo jis qadar dīvāna hotā hai
vo bas utnā hī ai ahl-e-ḳhirad farzāna hotā hai
haqīqat meñ to mai-ḳhāna jabhī mai-ḳhāna hotā hai
tire dast-e-karam meñ jab kabhī paimāna hotā hai
magar ai mohtasib tujh ko bhī hai kuchh zauq rindī kā
jabhī aatā hai tū jab rañg par mai-ḳhāna hotā hai
ba-zāhir dekhne meñ hotī hai saj-dhaj faqīrāna
dimāġh un ke gadāoñ kā magar shāhāna hotā hai
kabhī pesh-e-nazar vo gul kabhī nazroñ se poshīda
kabhī 'ālam gulistāñ aur kabhī vīrāna hotā hai
nahīñ 'majzūb' dam-bhar ko bhī terī yaad se ġhāfil
baḌā hushiyār matlab kā tirā dīvāna hotā hai
mere dil mein wurud-e-jalwa-e-jaanana hota hai
ye sab ma’mura-e-’alam abhi virana hota hai
naya tauba-shikan jab daKHil-e-mai-kHana hota hai
na puchho phir jo rang-e-majlis-e-rindana hota hai
tariq-e-'ishq mein jo jis qadar diwana hota hai
wo bas utna hi ai ahl-e-KHirad farzana hota hai
haqiqat mein to mai-KHana jabhi mai-KHana hota hai
tere dast-e-karam mein jab kabhi paimana hota hai
magar ai mohtasib tujh ko bhi hai kuchh zauq rindi ka
jabhi aata hai tu jab rang par mai-KHana hota hai
ba-zahir dekhne mein hoti hai saj-dhaj faqirana
dimagh un ke gadaon ka magar shahana hota hai
kabhi pesh-e-nazar wo gul kabhi nazron se poshida
kabhi 'alam gulistan aur kabhi virana hota hai
nahin 'majzub' dam-bhar ko bhi teri yaad se ghafil
baDa hushiyar matlab ka tera diwana hota hai
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 220)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.