bayan adna sa faiz-e-bai’at pir-e-mughan kar dun
bayan adna sa faiz-e-bai’at pir-e-mughan kar dun
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
bayāñ adnā sā faiz-e-bai’at pīr-e-muġhāñ kar duuñ
jo gar jā۔ūñ maiñ sajde meñ zamīñ ko āsmāñ kar duuñ
karo tum zulm aur maiñ tark fariyād-o-fuġhāñ kar duuñ
zabāñ rakhte hue apne ko kyuuñ kar be-zabāñ kar duuñ
jo maiñ josh-e-junūñ meñ ḳhaak uḌā kar ik fuġhāñ kar duuñ
to gardūñ ko zamīñ kar duuñ zamīñ ko āsmāñ kar duuñ
na ghabrāo maiñ lo ab muḳhtasar hī dāstāñ kar duuñ
ik āh-e-jāñ-sitāñ meñ hāl-e-shab apnā bayāñ kar duuñ
na duniyā hī ke maiñ laa.eq na 'uqbā hī ke maiñ qābil
kahāñ apne ko ġhā.eb ai zamīn-o-āsmāñ kar duuñ
zarā hushiyār rahnā shaiḳh jī maiñ huuñ vo mastāna
nazar meñ zāhid-e-sad-sāla ko pīr-e-muġhāñ kar duuñ
maiñ go 'majzūb' huuñ lekin ba-faiz-e-murshid-e-kāmil
nazar meñ rāhzan ko rahnumā-e-sālikāñ kar duuñ
bayan adna sa faiz-e-bai’at pir-e-mughan kar dun
jo gar ja۔un main sajde mein zamin ko aasman kar dun
karo tum zulm aur main tark fariyaad-o-fughan kar dun
zaban rakhte hue apne ko kyun kar be-zaban kar dun
jo main josh-e-junun mein KHak uDa kar ek fughan kar dun
to gardun ko zamin kar dun zamin ko aasman kar dun
na ghabrao main lo ab muKHtasar hi dastan kar dun
ek aah-e-jaan-sitan mein haal-e-shab apna bayan kar dun
na duniya hi ke main laeq na 'uqba hi ke main qabil
kahan apne ko ghaeb ai zamin-o-asman kar dun
zara hushiyar rahna shaiKH ji main hun wo mastana
nazar mein zahid-e-sad-sala ko pir-e-mughan kar dun
main go 'majzub' hun lekin ba-faiz-e-murshid-e-kaamil
nazar mein rahzan ko rahnuma-e-salikan kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.