tu apne dil se ghair ki ulfat na kho saka
tū apne dil se ġhair kī ulfat na kho sakā
maiñ chāhūñ aur ko to ye mujh se na ho sakā
rakhtā huuñ aise tāle'-e-bedār maiñ ki raat
ham-sāya mere nāloñ kī daulat na ho sakā
go naala nā-rasā ho na ho aah meñ asar
maiñ ne to darguzar na kī jo mujh se ho sakā
dasht-e-adam meñ jā ke nikālūñgā jī kā ġham
kunj-e-jahāñ meñ khol ke dil meñ na ro sakā
jo sham.a rote-rote hī guzrī tamām umr
tū bhī to 'dard' dāġh-e-jigar ko na dho sakā
tu apne dil se ghair ki ulfat na kho saka
main chahun aur ko to ye mujh se na ho saka
rakhta hun aise tale'-e-bedar main ki raat
ham-saya mere nalon ki daulat na ho saka
go nala na-rasa ho na ho aah mein asar
main ne to darguzar na ki jo mujh se ho saka
dasht-e-adam mein ja ke nikalunga ji ka gham
kunj-e-jahan mein khol ke dil mein na ro saka
jo shama rote-rote hi guzri tamam umr
tu bhi to 'dard' dagh-e-jigar ko na dho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.