andaz wahi samjhe mere dil ki aah ka
andāz vahī samjhe mere dil kī aah kā
zaḳhmī jo ho chukā ho kisī kī nigāh kā
zāhid ko ham ne dekh liyā chuuñ nagīñ ba-aks
raushan huā hai naam to us rū-siyāh kā
har chand fisq meñ to hazāroñ haiñ lazzateñ
lekin ajab mazā hai faqat dil kī chaah kā
le kar azal se tā-ba-abad ek aan hai
gar darmiyāñ hisāb na ho sāl-o-māh kā
rahmat qadam na rañja kare gar tirī udhar
yā-rab hai kaun phir to hamāre gunāh kā
dil us mizha se rakhiyo na tū chash-e-rāstī
ai be-ḳhabar burā hai ye firqa sipāh kā
shāh-o-gadā se apne ta.iiñ kaam kuchh nahīñ
ne taaj kī havas na irāda kulāh kā
sau baar dekhīñ maiñ ne tirī bevafā.iyāñ
tis par bhī nit ġhurūr hai dil meñ nibāh kā
ai 'dard' chhoḌtā hī nahīñ mujh ko jazb-e-ishq
kuchh kahrubā se bas na chale barg-e-kāh kā
andaz wahi samjhe mere dil ki aah ka
zaKHmi jo ho chuka ho kisi ki nigah ka
zahid ko hum ne dekh liya chun nagin ba-aks
raushan hua hai nam to us ru-siyah ka
har chand fisq mein to hazaron hain lazzaten
lekin ajab maza hai faqat dil ki chah ka
le kar azal se ta-ba-abad ek aan hai
gar darmiyan hisab na ho sal-o-mah ka
rahmat qadam na ranja kare gar teri udhar
ya-rab hai kaun phir to hamare gunah ka
dil us mizha se rakhiyo na tu chash-e-rasti
ai be-KHabar bura hai ye firqa sipah ka
shah-o-gada se apne tain kaam kuchh nahin
ne taj ki hawas na irada kulah ka
sau bar dekhin main ne teri bewafaiyan
tis par bhi nit ghurur hai dil mein nibah ka
ai 'dard' chhoDta hi nahin mujh ko jazb-e-ishq
kuchh kahruba se bas na chale barg-e-kah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.