kaam mardon ke jo hain so wahi kar jate hain
kaam mardoñ ke jo haiñ so vahī kar jaate haiñ
jaan se apne jo koī ki guzar jaate haiñ
maut kyā aake faqīroñ se tujhe lenā hai
marne se aage hī ye log to mar jaate haiñ
diid vā-dīd jo ho jaa.e ġhanīmat samjho
juuñ sharar varna ham ai ahl-e-nazar jaate haiñ
āñkheñ us bazm meñ sekī haiñ jinhoñ ne Tuk bhī
sham.a kī tarah garebāñ liye tar jaate haiñ
ham kisī raah se vāqif nahīñ juuñ nūr-e-nazar
rahnumā tū hī to ho jaatā hai jidhar jaate haiñ
ai rag-e-abr ye mizhgāñ bhī agar Tuk barseñ
ki pal meñ ka.ī tālāb to bhar jaate haiñ
aah ma.alūm nahīñ saath se apne shab-o-roz
log jaate haiñ chale so ye kidhar jaate haiñ
tā-qiyāmat nahīñ Talne kā dil-e-ālam se
'dard' ham apne evaz chhoḌe utar jaate haiñ
kaam mardon ke jo hain so wahi kar jate hain
jaan se apne jo koi ki guzar jate hain
maut kya aake faqiron se tujhe lena hai
marne se aage hi ye log to mar jate hain
did wa-did jo ho jae ghanimat samjho
jun sharar warna hum ai ahl-e-nazar jate hain
aankhen us bazm mein seki hain jinhon ne Tuk bhi
shama ki tarah gareban liye tar jate hain
hum kisi rah se waqif nahin jun nur-e-nazar
rahnuma tu hi to ho jata hai jidhar jate hain
ai rag-e-abr ye mizhgan bhi agar Tuk barsen
ki pal mein kai talab to bhar jate hain
aah malum nahin sath se apne shab-o-roz
log jate hain chale so ye kidhar jate hain
ta-qiyamat nahin Talne ka dil-e-alam se
'dard' hum apne ewaz chhoDe utar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.