Sufinama

kyun na Dube rahen ye dida-e-tar pani mein

Khwaja Meer Dard

kyun na Dube rahen ye dida-e-tar pani mein

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    kyuuñ na Duube raheñ ye dīda-e-tar paanī meñ

    hai banā misl-e-habāb apnā to ghar paanī meñ

    ashk se mere faqat dāman-e-sahrā nahīñ tar

    koh bhī sab haiñ khaḌe tā-ba-kamar paanī meñ

    mardum-e-dīda mere ashk meñ yuuñ rahte haiñ

    kab ye guzarāñ kare aur bashar paanī meñ

    ātish-e-mai se jo saaqī ne use bhaḌkāyā

    zāhid-e-ḳhushk huā kHuub tar paanī meñ

    chashma-e-āb na ho chashma-e-ḳhurshīd se kam

    sho.ala-rū kabhū muñh dekhe agar paanī meñ

    jis taraf chāhau chalūñ ye vo sarābistāñ hai

    vahm kahtā hai ki ab paañv na dhar paanī meñ

    ālam-e-āb meñ juuñ ā.īna Duubā rahā

    bhī dāman na kiyā 'dard' ne tar paanī meñ

    kyun na Dube rahen ye dida-e-tar pani mein

    hai bana misl-e-habab apna to ghar pani mein

    ashk se mere faqat daman-e-sahra nahin tar

    koh bhi sab hain khaDe ta-ba-kamar pani mein

    mardum-e-dida mere ashk mein yun rahte hain

    kab ye guzaran kare aur bashar pani mein

    aatish-e-mai se jo saqi ne use bhaDkaya

    zahid-e-KHushk hua kHub hi tar pani mein

    chashma-e-ab na ho chashma-e-KHurshid se kam

    shoala-ru tu kabhu munh dekhe agar pani mein

    jis taraf chahau chalun ye wo sarabistan hai

    wahm kahta hai ki ab panw na dhar pani mein

    aalam-e-ab mein jun aaina Duba hi raha

    tu bhi daman na kiya 'dard' ne tar pani mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now