mast hun pir-e-mughan kya mujhko farmata hai tu
mast huuñ pīr-e-muġhāñ kyā mujh ko farmātā hai tū
pā-e-bos-e-ḳhum karūñ yā dast-bosī-e-subū
sub.h aur ḳhurshīd ke mānind merī jeb ko
chaak kā maujib hai tuuhī tuuhī asbāb-e-rafū
Taal denā us ko nit har tarah juuñ qibla-numā
phir mujhe har phir ke aa rahnā usī ke rū-ba-rū
aur afzūnī talab kī ba.ad marne ke huī
ḳhaak hone ne kiyā har zarra garm-e-justujū
terī kHūñ-āshāmiyāñ mash.hūr haiñ ai teġh-e-nāz
meñ qatra chhoḌe to piive hamārā hī lahū
jis tarah se sub.h ko hotā hai be-raunaq charāġh
dekh tujh ko uḌ gayā gulshan meñ gul kā rañg-o-bū
aur hoñ āmāda-e-mai-kHvārgī se mai-parast
sar agar kaaTe unhūñ kā mohtasib misl-e-kadū
baat ahl-e-dīd se karte haiñ yaañ raushan-zamīr
nit zabān-e-sham.a ko hai chashm hī se guftugū
sūrat-e-taqlīd meñ kab mā'nī-e-tahqīq haiñ
rañg go hai par gul-e-tasvīr meñ kīdhar hai bū
saiñkaḌoñ hī tuḳhm se is baaġh meñ nikle nihāl
tukH-e-dil kī bar na aa.ī 'dard' lekin aarzū
mast hun pir-e-mughan kya mujh ko farmata hai tu
pa-e-bos-e-KHum karun ya dast-bosi-e-subu
subh aur KHurshid ke manind meri jeb ko
chaak ka maujib hai tuhi tuhi asbab-e-rafu
Tal dena us ko nit har tarah jun qibla-numa
phir mujhe har phir ke aa rahna usi ke ru-ba-ru
aur afzuni talab ki baad marne ke hui
KHak hone ne kiya har zarra garm-e-justuju
teri kHun-ashamiyan mashhur hain ai tegh-e-naz
meñ qatra chhoDe to piwe hamara hi lahu
jis tarah se subh ko hota hai be-raunaq charagh
dekh tujh ko uD gaya gulshan mein gul ka rang-o-bu
aur hon aamada-e-mai-kHwargi se mai-parast
sar agar kaTe unhun ka mohtasib misl-e-kadu
baat ahl-e-did se karte hain yan raushan-zamir
nit zaban-e-shama ko hai chashm hi se guftugu
surat-e-taqlid mein kab ma'ni-e-tahqiq hain
rang go hai par gul-e-taswir mein kidhar hai bu
sainkaDon hi tuKHm se is bagh mein nikle nihaal
tukH-e-dil ki bar na aai 'dard' lekin aarzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.