khula darwaza mere dil pe az-bas aur aalam ka
khulā darvāza mere dil pe az-bas aur a.alam kā
na andesha hai shādī kā mujhe ne fikr hai ġham kā
buland-o-past sab hamvār haiñ yaañ apnī nazroñ meñ
barābar saaz meñ hotā hai juuñ sar zer aur bam kā
gulistān-e-jahāñ kā diid kiijo chashm-e-ibrat se
ki har ik sarv-qad hai is chaman meñ naḳhl-e-mātam kā
chaman meñ bāġhbāñ se sub.h ko kahtī thī ye bulbul
guloñ ke muñh pe yuuñ chaḌhtī hai diida dekh shabnam kā
nahīñ mazkūr-e-shāhāñ 'dard' hargiz apnī majlis meñ
kabhū kuchh zikr aayā bhī to ibrāhīm adham kā
khula darwaza mere dil pe az-bas aur aalam ka
na andesha hai shadi ka mujhe ne fikr hai gham ka
buland-o-past sab hamwar hain yan apni nazron mein
barabar saz mein hota hai jun sar zer aur bam ka
gulistan-e-jahan ka did kijo chashm-e-ibrat se
ki har ek sarw-qad hai is chaman mein naKHl-e-matam ka
chaman mein baghban se subh ko kahti thi ye bulbul
gulon ke munh pe yun chaDhti hai dida dekh shabnam ka
nahin mazkur-e-shahan 'dard' hargiz apni majlis mein
kabhu kuchh zikr aaya bhi to ibrahim adham ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.