har tarah zamana ke hathon se sitam-dida
har tarah zamāna ke hāthoñ se sitam-dīda
gar dil hoñ to āzurda ḳhātir hoñ to ranjīda
ham gulshan-e-daurāñ meñ ai kHuftagī-e-tāle
sarsabz to haiñ lekin juuñ sabza-e-ḳhvābīda
ai shor-e-qiyādat rah ūdhar hī maiñ kahtā huuñ
chauñke hai abhī yaañ se koī dil-e-shorīda
auroñ se to hañste ho nazroñ se milā nazreñ
īdhar ko nazar koī pheñkī bhī to duzdīda
mujh par bhī to ye uqda tū khol sabā baare
zulfoñ ne kise bhejā ye nāma-e-pechīda
bad-ḳhvāh sabhī a.alam go hove to ho lekin
yā-rab na kasī ke hoñ dushman ye dil-o-dīda
karatā hai jagah dil meñ juuñ abrū-e-paivasta
ai 'dard' ye terā to har misra-e-chapīda
har tarah zamana ke hathon se sitam-dida
gar dil hon to aazurda KHatir hon to ranjida
hum gulshan-e-dauran mein ai kHuftagi-e-tale
sarsabz to hain lekin jun sabza-e-KHwabida
ai shor-e-qiyaadat rah udhar hi main kahta hun
chaunke hai abhi yan se koi dil-e-shorida
auron se to hanste ho nazron se mila nazren
idhar ko nazar koi phenki bhi to duzdida
mujh par bhi to ye uqda tu khol saba bare
zulfon ne kise bheja ye nama-e-pechida
bad-KHwah sabhi aalam go howe to ho lekin
ya-rab na kasi ke hon dushman ye dil-o-dida
karata hai jagah dil mein jun abru-e-paiwasta
ai 'dard' ye tera to har misra-e-chapida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.