uski bahaar-e-husn ka dil mein hamare josh hai
us kī bahār-e-husn kā dil meñ hamāre josh hai
fasl-e-bahār jis ke haañ ek ye gul-farosh hai
baḳht-e-siyah ba-rañg-e-shab nit hī galīm-posh hai
sham.a bhī apne haañ agar hai to sadā ḳhamosh hai
ḳhalvat-e-dil dil kar diyā apne havās meñ ḳhalal
husn balā-e-chashm hai naġhma vabāl-e-gosh hai
hove to darmiyān se apne ta.iiñ uThā.iye
baar nahīñ hai aur kuchh sar hī vabāl-e-dosh hai
nāla-o-āh kījiye kHūn-e-jigar hī pīji.e
ahd-e-shabāb kahte haiñ mausam-e-nāv-o-vosh hai
be-ḳhabroñ ko phir kahīñ dast-e-qazā na chheḌ tū
misl-e-duhal har ek meñ varna bharā ḳhurūsh hai
gair-e-malāl zāhidā kyā hai tarīq-e-zuho meñ
dil ho shagufta jis jagah kūcha-e-mai-farosh hai
apne ta.iiñ to kaam kuchh kHirqa-o-jāmā se nahīñ
'dard' agar libās hai dīda-e-aib posh hai
us ki bahaar-e-husn ka dil mein hamare josh hai
fasl-e-bahaar jis ke han ek ye gul-farosh hai
baKHt-e-siyah ba-rang-e-shab nit hi galim-posh hai
shama bhi apne han agar hai to sada KHamosh hai
KHalwat-e-dil dil kar diya apne hawas mein KHalal
husn bala-e-chashm hai naghma wabaal-e-gosh hai
howe to darmiyan se apne tain uThaiye
bar nahin hai aur kuchh sar hi wabaal-e-dosh hai
nala-o-ah kijiye kHun-e-jigar hi pijie
ahd-e-shabab kahte hain mausam-e-naw-o-wosh hai
be-KHabron ko phir kahin dast-e-qaza na chheD tu
misl-e-duhal har ek mein warna bhara KHurush hai
gair-e-malal zahida kya hai tariq-e-zuho mein
dil ho shagufta jis jagah kucha-e-mai-farosh hai
apne tain to kaam kuchh kHirqa-o-jama se nahin
'dard' agar libas hai dida-e-aib posh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.