Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aafat-e-jaan-o-dil to yan wo but-e-kHud-farosh hai

Khwaja Meer Dard

aafat-e-jaan-o-dil to yan wo but-e-kHud-farosh hai

Khwaja Meer Dard

āfat-e-jān-o-dil to yaañ vo but-e-kHud-farosh hai

pahle jis ke peshkash sabr-o-qarār hosh hai

dil ko siyāh-e-mast kar kuchh bhī tujhe jo hosh hai

kahte haiñ ka.aba us ko aur ka.aba siyāh-posh hai

kis ye hotī hai sabā guft-o-shunīd baaġh meñ

ġhunche sabhī dahān haiñ gul bhī tamām gosh hai

ātish-e-gul junūñ mirā garm kare so ye nahīñ

siina hamesha aag hai dil meñ sadā josh hai

ham ne to ek ma.asiyat chāhī chhupe na chhup sakī

apne gunāh ko tirā afv ye pardā-posh hai

aah kahīñ ye nā-tavāñ haal kare so kyā bayāñ

muñh par hai mohr-e-ḳhāmoshī dil meñ bharā ḳharosh hai

duur nahīñ huā hameñ ranj-e-shu.ūr sāqiyā

ik-do-seh jaam aur bhī baaqī abhī to hosh hai

mehnat-o-ranj-oġham se yaañ 'dard' chhupā.iye

baar sabhī uThā.iye jab ta.iiñ sar hai dosh hai

aafat-e-jaan-o-dil to yan wo but-e-kHud-farosh hai

pahle hi jis ke peshkash sabr-o-qarar hosh hai

dil ko siyah-e-mast kar kuchh bhi tujhe jo hosh hai

kahte hain kaba us ko aur kaba siyah-posh hai

kis ki ye hoti hai saba guft-o-shunid bagh mein

ghunche sabhi dahan hain gul bhi tamam gosh hai

aatish-e-gul junun mera garm kare so ye nahin

sina hamesha aag hai dil mein sada hi josh hai

hum ne to ek masiyat chahi chhupe na chhup saki

apne gunah ko tera afw ye parda-posh hai

aah kahin ye na-tawan haal kare so kya bayan

munh par hai mohr-e-KHamoshi dil mein bhara KHarosh hai

dur nahin hua hamein ranj-e-shuur saqiya

ik-do-seh jam aur bhi baqi abhi to hosh hai

mehnat-o-ranj-ogham se yan 'dard' ji chhupaiye

bar sabhi uThaiye jab tain sar hai dosh hai

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now