gar bagh mein KHandan wo mera lab-e-shakar aawe
gar baaġh meñ ḳhandāñ vo mirā lab-e-shakar aave
gul sāmne dāmāñ se muñh Dhāñp kar aave
qāsid se kaho phir ḳhabar ūdhar hī ko le jaa.e
yaañ be-ḳhabarī aa ga.ī jab tak ḳhabar aave
luuTe hai tire ganj-e-shahīdāñ ko ġharībī
jī dene ko zālim koī kis baat par aave
zāhid ko jatā dījiyo be-ḳhud hai ye rindāñ
aanā hai to ḳhud-dārī ko ghar meñ hī dhar aave
kahte haiñ ki yak-dast tirī teġh chalī hai
tab jāniye jab ik-do qadam chal idhar aave
juuñ ḳhvāb hai vābasta ba-ġhaflat ye tamāshā
khul jaa.e agar aañkh to phir kyā nazar aave
mutlaq bhī nahīñ 'dard' izāfat se mubarrā
ohde se taqayyud ke koī kyūñki bar aave
gar bagh mein KHandan wo mera lab-e-shakar aawe
gul samne daman se munh Dhanp kar aawe
qasid se kaho phir KHabar udhar hi ko le jae
yan be-KHabari aa gai jab tak KHabar aawe
luTe hai tere ganj-e-shahidan ko gharibi
ji dene ko zalim koi kis baat par aawe
zahid ko jata dijiyo be-KHud hai ye rindan
aana hai to KHud-dari ko ghar mein hi dhar aawe
kahte hain ki yak-dast teri tegh chali hai
tab jaaniye jab ik-do qadam chal idhar aawe
jun KHwab hai wabasta ba-ghaflat ye tamasha
khul jae agar aankh to phir kya nazar aawe
mutlaq bhi nahin 'dard' izafat se mubarra
ohde se taqayyud ke koi kyunki bar aawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.