aziyyat koi tere gham ki mere ji se jati hai
aziyyat koī tere ġham kī mere jī se jaatī hai
kabho Tuk dil kiyā ḳhālī to phir chhātī bhar aatī hai
sunā.ūñ kyūñki apnā haal maiñ kyā saḳht mushkil hai
ye qissa jab lagūñ kahne to us ko niiñd aatī hai
nahīñ mushtāq ā.īna ke jo vo saaf tīnat haiñ
safā to aarzī hai aur kudūrat us kī zaatī hai
qiyāmat sarzamīn-e-dil pe mere hashr barpā hai
havas har-dam tamannā.eñ to ye ye kuchh uThātī hai
parekhā nit yahī rahtā hai mujh ko 'dard' kyā kahiye
ki aisī zindagī sī chiiz yūñhī muft jaatī hai
aziyyat koi tere gham ki mere ji se jati hai
kabho Tuk dil kiya KHali to phir chhati bhar aati hai
sunaun kyunki apna haal main kya saKHt mushkil hai
ye qissa jab lagun kahne to us ko nind aati hai
nahin mushtaq aaina ke jo wo saf tinat hain
safa to aarzi hai aur kudurat us ki zati hai
qiyamat sarzamin-e-dil pe mere hashr barpa hai
hawas har-dam tamannaen to ye ye kuchh uThati hai
parekha nit yahi rahta hai mujh ko 'dard' kya kahiye
ki aisi zindagi si chiz yunhi muft jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.