koi bhi dawa apne tain ras nahin hai
koī bhī davā apne ta.iiñ raas nahīñ hai
juz vasl so milne kī hameñ aas nahīñ hai
vo ashk nikaltā hai mirī chashm se jis kā
har qatra kam az pāra-e-almās nahīñ hai
zinhār idhar kholo mat chashm-e-hiqārat se
ye faqr kī daulat hai kuchh iflās nahīñ hai
guzrā hai batā kaun sabā aaj idhar se
gulshan meñ tire phūloñ kī ye baas nahīñ hai
be-fā.eda anfās ko zaa.e.a na kar ai 'dard'
har dam dam-e-īsā hai tujhe pā nahīñ nahīñ hai
koi bhi dawa apne tain ras nahin hai
juz wasl so milne ki hamein aas nahin hai
wo ashk nikalta hai meri chashm se jis ka
har qatra kam az para-e-almas nahin hai
zinhaar idhar kholo mat chashm-e-hiqarat se
ye faqr ki daulat hai kuchh iflas nahin hai
guzra hai bata kaun saba aaj idhar se
gulshan mein tere phulon ki ye bas nahin hai
be-faeda anfas ko zaea na kar ai 'dard'
har dam dam-e-isa hai tujhe pa nahin nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.