aatish-e-ishq ji jalati hai
ātish-e-ishq jī jalātī hai
ye balā jaan hī pe aatī hai
tū hai aur sair-e-bāġh hai har vaqt
daaġh haiñ aur merī chhātī hai
shaam bhī ho chukī kahīñ ab tū
aa shitābī ki raat jaatī hai
kuchh munāsib nahīñ hai kyā kahiye
jī meñ jo kuchh ki apne aatī hai
Tuk ḳhabar le ki har ghaḌī ham ko
ab judā.ī bahut satātī hai
'dard' us kī bhī diid kar lījiye
naujavānī ye muft jaatī hai
aatish-e-ishq ji jalati hai
ye bala jaan hi pe aati hai
tu hai aur sair-e-bagh hai har waqt
dagh hain aur meri chhati hai
sham bhi ho chuki kahin ab tu
aa shitabi ki raat jati hai
kuchh munasib nahin hai kya kahiye
ji mein jo kuchh ki apne aati hai
Tuk KHabar le ki har ghaDi hum ko
ab judai bahut satati hai
'dard' us ki bhi did kar lijiye
naujawani ye muft jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.