ji ki ji hi mein rahi baat na hone pai
jī kī jī hī meñ rahī baat na hone paa.ī
ek bhī us se mulāqāt na hone paa.ī
dīd-vā-dīd huī duur se merī us kī
par jo maiñ chāhā thā so baat na hone paa.ī
kaun vo be-sar-o-sāmāñ hai ki yā-rab juz-e-ashk
jis kī ḳhātir kahīñ barsāt na hone paa.ī
uTh chale shaiḳh-jī tum majlis-e-rindāñ se shitāb
ham se kuchh kHuub mudārāt na hone paa.ī
jī meñ manzūr thī jo aap kī khidmat-gārī
so to ai qibla-e-jāt na hone paa.ī
jī fanā ho gayā ik nigah-e-garm ke saath
'dard' kuchh aur ināyāt na hone paa.ī
ji ki ji hi mein rahi baat na hone pai
ek bhi us se mulaqat na hone pai
did-wa-did hui dur se meri us ki
par jo main chaha tha so baat na hone pai
kaun wo be-sar-o-saman hai ki ya-rab juz-e-ashk
jis ki KHatir kahin barsat na hone pai
uTh chale shaiKH-ji tum majlis-e-rindan se shitab
hum se kuchh kHub mudaraat na hone pai
ji mein manzur thi jo aap ki khidmat-gari
so to ai qibla-e-jat na hone pai
ji fana ho gaya ek nigah-e-garm ke sath
'dard' kuchh aur inayat na hone pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.