Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kab tera diwana aawe qaid mein tadbir se

Khwaja Meer Dard

kab tera diwana aawe qaid mein tadbir se

Khwaja Meer Dard

kab tirā dīvāna aave qaid meñ tadbīr se

juuñ sadā niklā chāhe kHāna-e-zanjīr se

qadr mardoñ samajhne ke nahīñ ye māya-dar

jauharī vāqif na hove jauhar-e-shamshīr se

dekhnā aa ke az ḳhud raftagāñ haal Tuk

jā-ba-jā sab pusht-bar-dīvār haiñ tasvīr se

mun.im aise qasr lākhoñ mil ga.e haiñ ḳhaak meñ

juz ḳharābī ke batā kyā fā.eda ta.amīr se

'dard' ab hañste haiñ rone par mere sab ḳhās-o-ām

kyā hue vo naale jo lagte the dil meñ tiir se

kab tera diwana aawe qaid mein tadbir se

jun sada nikla hi chahe kHana-e-zanjir se

qadr mardon ki samajhne ke nahin ye maya-dar

jauhari waqif na howe jauhar-e-shamshir se

dekhna tu aa ke az KHud raftagan ka haal Tuk

ja-ba-ja sab pusht-bar-diwar hain taswir se

munim aise qasr lakhon mil gae hain KHak mein

juz KHarabi ke bata kya faeda tamir se

'dard' ab hanste hain rone par mere sab KHas-o-am

kya hue wo nale jo lagte the dil mein tir se

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now