Sufinama

jo yan kuchh chahne wale qarib-e-yak-digar baiThe

Khwaja Meer Dard

jo yan kuchh chahne wale qarib-e-yak-digar baiThe

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    jo yaañ kuchh chāhne vaale qarīb-e-yak-digar baiThe

    ham apnā dil baġhal meñ daab lekar aah kar baiThe

    na pūchho ishq sozish ne a.alam meñ kyā-kyā kiyā

    ajab tūfāñ uThā.e ye ke jis se ghar ke ghar baiThe

    mohabbat ne tumhārī dil meñ bhī itnā to sar khīñchā

    qasam khāne lage tab haath mere sar pe dhar baiThe

    koī din aur bhī ham ko phirā le gardish-e-daurāñ

    nahīñ uThne ke phir hargiz kahīñ ab ke agar baiThe

    na aanā thā bharā meñ so ab to kuchh karo ḳhālī

    ke din jitne the va.adoñ ke na milne se bhar baiThe

    koī baiTh us kane yaañ sake hai is tarah jaldī

    chale the har ghaḌī uTh-uTh ke ham ai 'dard' par baiThe

    jo yan kuchh chahne wale qarib-e-yak-digar baiThe

    hum apna dil baghal mein dab lekar aah kar baiThe

    na puchho ishq ki sozish ne aalam mein kya-kya kiya

    ajab tufan uThae ye ke jis se ghar ke ghar baiThe

    mohabbat ne tumhaari dil mein bhi itna to sar khincha

    qasam khane lage tab hath mere sar pe dhar baiThe

    koi din aur bhi hum ko phira le gardish-e-dauran

    nahin uThne ke phir hargiz kahin ab ke agar baiThe

    na aana tha bhara ji mein so ab to kuchh karo KHali

    ke din jitne the wadon ke na milne se hi bhar baiThe

    koi baiTh us kane yan ja sake hai is tarah jaldi

    chale the har ghaDi uTh-uTh ke hum ai 'dard' par baiThe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now