kabhu to be-wafai yaad aa ji ko Daraati hai
kabhū to be-vafā.ī yaad aa jī ko Darātī hai
kabhū ummīd va.adoñ ke bharose yaañ dilātī hai
chhalāvā sā jo ho jaatā hai jalva vasl kā gaahe
judā.ī phir to ik muddat evaz kyā-kyā dikhātī hai
kabhū ronā kabhū hañsnā kabhū hairān ho rahnā
mohabbat kyā bhale chañge ko dīvāna banātī hai
agar rustam ho to bhī kab ye sadma tham sake us jo
tapish dil kī sambhālūñ yuuñ to ye merī hī chhātī hai
phire hai is tarah jo aaj tū ai 'dard' be-ḳhud sā
batā ham ko bhī Tuk baare vo kyā aafat ki aatī hai
kabhu to be-wafai yaad aa ji ko Daraati hai
kabhu ummid wadon ke bharose yan dilati hai
chhalawa sa jo ho jata hai jalwa wasl ka gahe
judai phir to ek muddat ewaz kya-kya dikhati hai
kabhu rona kabhu hansna kabhu hairan ho rahna
mohabbat kya bhale change ko diwana banati hai
agar rustam ho to bhi kab ye sadma tham sake us jo
tapish dil ki sambhaalun yun to ye meri hi chhati hai
phire hai is tarah jo aaj tu ai 'dard' be-KHud sa
bata hum ko bhi Tuk bare wo kya aafat ki aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.