is zist ka etibar kya hai
is ziist kā e'tibār kyā hai
koī dam meñ ye zindagī havā hai
guzrā hai nazar se ek a.alam
ye chashm nahīñ hai naqsh-e-pā hai
zālim Tuk idhar to dekh le tū
koī pal meñ ḳhudā hī jaane kyā hai
Dhānā to hai dil ke ta.iiñ va-lekin
tū jaan ye ḳhāna-e-ḳhudā hai
hai dīd-e-fanā hī hāsil-e-chashm
uqda ye habāb par khulā hai
zāhir hai tujhī se to ye a.alam
tū mujh ko batā kahīñ chhupā hai
duniyā se umīd-e-pā.edārdī
ye vahm tirā kidhar gayā hai
juuñ ā.īna muñh kisī se mat pher
tere dil meñ agar safā hai
kuchh paa.ī ḳhabar na maiñ ne dil kī
kis ke vo ḳhayāl meñ gayā hai
is zist ka e'tibar kya hai
koī dam mein ye zindagi hawa hai
guzra hai nazar se ek aalam
ye chashm nahin hai naqsh-e-pa hai
zalim Tuk idhar to dekh le tu
koi pal mein KHuda hi jaane kya hai
Dhana to hai dil ke tain wa-lekin
tu jaan ye KHana-e-KHuda hai
hai did-e-fana hi hasil-e-chashm
uqda ye habab par khula hai
zahir hai tujhi se to ye aalam
tu mujh ko bata kahin chhupa hai
duniya se umid-e-paedardi
ye wahm tera kidhar gaya hai
jun aaina munh kisi se mat pher
tere dil mein agar safa hai
kuchh pai KHabar na main ne dil ki
kis ke wo KHayal mein gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.