tha adam bhi mujhe ek pech-o-tab
thā adam bhī mujhe ik pech-o-tāb
muztarib ho jis tarah mauj-e-sarāb
be-bizā.at haiñ sab ahl-e-zarfq barq
chashma-e-ḳhurshīd meñ kīdhar hai aab
maut hai asā.ish-e-uftādgāñ
chashm-e-naqsh-e-pā ko miT jaatā hai ḳhvāb
kyuuñ na ho sharminda rū-e-zamīñ
sail-e-ashk aisā nahīñ ḳhāna-ḳharāb
be-tunak zarfoñ ko be-jā mai-kashī
jām-e-mai kab ho sake jām-e-habāb
hañste haiñ koī kabhū dil-murdgāñ
gor ke lab par tabassum kyā hisāb
mai-kashāñ karne lage mehnat-kashī
'dard' hotā hai dil-e-yārāñ kabāb
tha adam bhi mujhe ek pech-o-tab
muztarib ho jis tarah mauj-e-sarab
be-bizaat hain sab ahl-e-zarfq barq
chashma-e-KHurshid mein kidhar hai aab
maut hai asaish-e-uftadgan
chashm-e-naqsh-e-pa ko miT jata hai KHwab
kyun na ho sharminda ru-e-zamin
sail-e-ashk aisa nahin KHana-KHarab
be-tunak zarfon ko be-ja mai-kashi
jam-e-mai kab ho sake jam-e-habab
hanste hain koi kabhu dil-murdgan
gor ke lab par tabassum kya hisab
mai-kashan karne lage mehnat-kashi
'dard' hota hai dil-e-yaran kabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.