malum nahin aankhen ye kyun phuT bahi hain
ma.alūm nahīñ āñkheñ ye kyuuñ phuuT bahī haiñ
rone kī taraf kis liye ye TuuT bahī haiñ
kashtī kī tarah āñkheñ mirī ashk meñ yaaro
jis tār-e-nigah se bañdhī thiiñ chhūT bahī haiñ
maiñ misl-e-habāb āñkheñ to ro-ro ke bahā.ūñ
parda yahī kahtā hai sadā jhuuT bahī haiñ
ai 'dard' samajh sahj na in āñkhoñ kā bahnā
chhātī kī tarah dil ko mere kuuT bahī haiñ
malum nahin aankhen ye kyun phuT bahi hain
rone ki taraf kis liye ye TuT bahi hain
kashti ki tarah aankhen meri ashk mein yaro
jis tar-e-nigah se bandhi thin chhuT bahi hain
main misl-e-habab aankhen to ro-ro ke bahaun
parda yahi kahta hai sada jhuT bahi hain
ai 'dard' samajh sahj na in aankhon ka bahna
chhati ki tarah dil ko mere kuT bahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.