Sufinama

aaram se kabhu hi na yakbar so gae

Khwaja Meer Dard

aaram se kabhu hi na yakbar so gae

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    ārām se kabhū na yakbār so ga.e

    aise hamāre tāle'-e-bedār so ga.e

    ḳhvāb-e-adam se chauñke the ham tere vāste

    āḳhir ko jāg-jāg ke nā-chār so ga.e

    uThtī nahīñ hai kHāna-e-zanjīr se sadā

    dekho to kyā sabhī ye giraftār so ga.e

    terī galī hai koī ārām-gāh hai

    rakhte qadam ke paañv to har baar so ga.e

    ve mar chuke jo raunaq-e-bazm-e-jahān the

    ab uThiye 'dard' yaañ se ki sab yaar so ga.e

    aaram se kabhu hi na yakbar so gae

    aise hamare tale'-e-bedar so gae

    KHwab-e-adam se chaunke the hum tere waste

    aaKHir ko jag-jag ke na-chaar so gae

    uThti nahin hai kHana-e-zanjir se sada

    dekho to kya sabhi ye giraftar so gae

    teri gali hai ya koi aaram-gah hai

    rakhte qadam ke panw to har bar so gae

    we mar chuke jo raunaq-e-bazm-e-jahan the

    ab uThiye 'dard' yan se ki sab yar so gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now