jun suKHan ab yaad ek aalam rahe
juuñ suḳhan ab yaad ik a.alam rahe
zindagānī tū chalī jā ham rahe
tā-abad juuñ qatra mujh-sā munfa.il
jis jagah sajda kare vo nam rahe
bah chalā āñkhoñ se dil hokar gudāz
muñh par aakar jam rahe to jam rahe
ruk nahīñ saktī hai yaañ kī vārdāt
kab ye ho saktā hai dariyā tham rahe
hai zamāna vo ki misl-e-āsmāñ
jis ke aage ahl-e-rif'at ḳham rahe
ham hī us vahshat-sarā se haiñ udaas
aur bhī jo aa.e so yaañ kam rahe
hai muhāl-e-aql zer-e-āsmāñ
hirs ho jis dil meñ vo ḳhurram rahe
kabk-e-ātish kyā kare yuuñ qahqahe
chiyūñTiyoñ ke ghar sadā mātam rahe
rakh nafaḳhtu-fīhi-min-rūhin ko yaad
jab talak ai 'dard' dam meñ dam rahe
jun suKHan ab yaad ek aalam rahe
zindagani tu chali ja hum rahe
ta-abad jun qatra mujh-sa munfail
jis jagah sajda kare wo nam rahe
bah chala aankhon se dil hokar gudaz
munh par aakar jam rahe to jam rahe
ruk nahin sakti hai yan ki wardat
kab ye ho sakta hai dariya tham rahe
hai zamana wo ki misl-e-asman
jis ke aage ahl-e-rif'at KHam rahe
hum hi us wahshat-sara se hain udas
aur bhi jo aae so yan kam rahe
hai muhaal-e-aql zer-e-asman
hirs ho jis dil mein wo KHurram rahe
kabk-e-atish kya kare yun qahqahe
chiyunTiyon ke ghar sada matam rahe
rakh nafaKHtu-fihi-min-ruhin ko yaad
jab talak ai 'dard' dam mein dam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.