Sufinama

ham-chashmi hai wahshat ko meri chashm-e-sharar se

Khwaja Meer Dard

ham-chashmi hai wahshat ko meri chashm-e-sharar se

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    ham-chashmī hai vahshat ko mirī chashm-e-sharar se

    aate nazar phir vahīñ ġhā.eb ho nazar se

    ai ham-vatnān ab ye ġhairat-zada hargiz

    phirne nahīñ umr ke mānind safar se

    kyuuñ teġh tirī dushmanī kartī hai mere saath

    mujh ko to nahīñ kaam kiso bhī kamar se

    ka.abe bhī bhalā shaiḳh tire saath chaleñge

    kidhar ko phireñge ham agar yaar ke ghar se

    is tarah ke rone se to apnā ruke hai

    ai kaash ye abr-e-mizha dil khol ke barse

    khultī hai mirī aañkh jo ahvāl pe apne

    juuñ sham.a ghaTā jaatā huuñ apnī nazar se

    ai sañg jo kuchh tuune kiyā shīshe ke haq meñ

    karatā hai koī bhī ye sulūk apne jigar se

    ham-chashmi hai wahshat ko meri chashm-e-sharar se

    aate hi nazar phir wahin ghaeb ho nazar se

    ai ham-watnan ab ki ye ghairat-zada hargiz

    phirne ka nahin umr ke manind safar se

    kyun tegh teri dushmani karti hai mere sath

    mujh ko to nahin kaam kiso ki bhi kamar se

    kabe bhi bhala shaiKH tere sath chalenge

    kidhar ko phirenge hum agar yar ke ghar se

    is tarah ke rone se to ji apna ruke hai

    ai kash ye abr-e-mizha dil khol ke barse

    khulti hai meri aankh jo ahwal pe apne

    jun shama ghaTa jata hun apni nazar se

    ai sang jo kuchh tune kiya shishe ke haq meñ

    karata hai koi bhi ye sulūk apne jigar se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now