gar KHak meri surma-e-absar na howe
gar ḳhaak mirī surma-e-absār na hove
to koī nazar qābil-e-dīdār na hove
sar-rishta-e-ulfat hai baḌā shaiḳh-o-barhaman
ye rishta ba-juz sub.ha-o-zunnār na hove
gar qaid hī qismat meñ hai kuchh aur ho yā-rab
par dil to kiso dil se giraftār na hove
phir maut kisī tarah to nazdīk na phaTke
duniyā meñ ye jiine kā jo āzār na hove
dil aise sitam-gār se iz.hār-e-mohabbat
aisā kahīñ phir dekhiyo zinhār na hove
kar zindagī is taur se ai 'dard' jahāñ meñ
ḳhātir pe kiso shaḳhs ke tū baar na hove
gar KHak meri surma-e-absar na howe
to koi nazar qabil-e-didar na howe
sar-rishta-e-ulfat hai baDa shaiKH-o-barhaman
ye rishta ba-juz subha-o-zunnar na howe
gar qaid hi qismat mein hai kuchh aur ho ya-rab
par dil to kiso dil se giraftar na howe
phir maut kisi tarah to nazdik na phaTke
duniya mein ye jine ka jo aazar na howe
dil aise sitam-gar se izhaar-e-mohabbat
aisa kahin phir dekhiyo zinhaar na howe
kar zindagi is taur se ai 'dard' jahan mein
KHatir pe kiso shaKHs ke tu bar na howe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.