kaif-o-kam ko dekh use be-kaif-o-kam kahne lage
kaif-o-kam ko dekh use be-kaif-o-kam kahne lage
jab hudūs apnā khulā rāz-e-qadam kahne lage
ġhair kuchh-kuchh kaan meñ bhī dam-ba-dam kahne lage
baat tum ab apne dil kī ham se kam kahne lage
vāh-vā qismat kī mahjūrī ko dekhā chāhai
vo huā be-parda tab ham us ko ham kahne lage
ġhāfilo tum baat apnī bhī samajhte hī nahīñ
hai kisī kā vo dahan jis ko adam kahne lage
but-parastī kufr yaañ dil kī giraftārī hai 'dard'
chāhne jis ko lage us ko sanam kahne lage
kaif-o-kam ko dekh use be-kaif-o-kam kahne lage
jab hudus apna khula raaz-e-qadam kahne lage
ghair kuchh-kuchh kan mein bhi dam-ba-dam kahne lage
baat tum ab apne dil ki hum se kam kahne lage
wah-wa qismat ki mahjuri ko dekha chahai
wo hua be-parda tab hum us ko hum kahne lage
ghafilo tum baat apni bhi samajhte hi nahīñ
hai kisi ka wo dahan jis ko adam kahne lage
but-parasti kufr yan dil ki giraftari hai 'dard'
chahne jis ko lage us ko sanam kahne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.