sarsabz tha nistan mere hi ashk-e-gham se
sarsabz thā nīstāñ mere hī ashk-e-ġham se
the saikḌoñ hī naale vābasta ek dam se
vāqif na yaañ kisū se ham haiñ na koī ham se
ya.anī ki aa ga.e haiñ bahke hue adam se
maiñ go nahīñ azal se par tā-abad huuñ baaqī
merā hudūs āḳhir jaahi Therā qadam se
gar chāhiye to miliye aur chāhiye na miliye
sab tum se ho sake hai mumkin nahīñ to ham se
mushtāq gar tirā kuchh likhe to kyā ajab hai
hoñ misl-e-nargis āñkheñ paidā abhī qalam se
har chand ye tamannā dar-ḳhur nahīñ hamāre
nazdīk tū jo aave kyā duur hai karam se
ab maiñ kahāñ vo naale sar-gashtagī kidhar hai
thiiñ sab vo bāteñ sābit mere hī dam-qadam se
hai ik nigāh kaanī go hove gāh-gāhe
chandāñ nahīñ hai matlab 'āshiq ko besh-o-kam se
kaahe ko hotī ham ko gardish nasīb tāle.a
gar paañv apnā bāhar rakhte na ham adam se
aate haiñ daam meñ kab ḳhurshīd-rū kisū ke
ai shaiḳh ye nahīñ haiñ tasbīh ke se shamse
hai 'dard' par bhī kuchh to merī hī sī musībat
ghere hai aur hī ġham chhūTe jo ek ġham se
sarsabz tha nistan mere hi ashk-e-gham se
the saikDon hi nale wabasta ek dam se
waqif na yan kisu se hum hain na koi hum se
yani ki aa gae hain bahke hue adam se
main go nahin azal se par ta-abad hun baqi
mera hudus aaKHir jahi Thera qadam se
gar chahiye to miliye aur chahiye na miliye
sab tum se ho sake hai mumkin nahin to hum se
mushtaq gar tera kuchh likhe to kya ajab hai
hon misl-e-nargis aankhen paida abhi qalam se
har chand ye tamanna dar-KHur nahin hamare
nazdik tu jo aawe kya dur hai karam se
ab main kahan wo nale sar-gashtagi kidhar hai
thin sab wo baaten sabit mere hi dam-qadam se
hai ek nigah kani go howe gah-gahe
chandan nahin hai matlab 'ashiq ko besh-o-kam se
kahe ko hoti hum ko gardish nasib talea
gar panw apna bahar rakhte na hum adam se
aate hain dam mein kab KHurshid-ru kisu ke
ai shaiKH ye nahin hain tasbih ke se shamse
hai 'dard' par bhi kuchh to meri hi si musibat
ghere hai aur hi gham chhuTe jo ek gham se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.