jae kis waste ai dard mai-KHane ke bich
jaa.e kis vāste ai 'dard' mai-ḳhāne ke biich
aur hī hastī hai apne dil ke paimāne ke beach
ā.īna kī tarah ġhāfil khol chhātī ke kivāḌ
dekh tū hai kaun baare tere kāshāne ke biich
sair-e-bāġh-e-bostāñ to hai muyassar har ghaḌī
aa.iye gaahe faqīroñ ke bhī kāshāne ke biich
jo maze haiñ marg meñ so ham se pūchhā chāhiye
kaun jaane aah kyā lazzat hai mar jaane ke biich
uqda-e-dil khol misl-e-qatra nādāñ kab talak
juuñ guhar ġhaltāñ rahegā aab aur daane ke beach
pech-o-tāb itnā jo hai yaañ is dil-e-sad chaak ko
zulf uljhī hai kiso kī zāhiran shāne ke biich
baḳht ḳhvāb-ālud ne mere sulāyā us ko 'dard'
varna phūñkā thā hī afsūñ maiñ ne afsāne ke biich
jae kis waste ai 'dard' mai-KHane ke bich
aur hi hasti hai apne dil ke paimane ke beach
aaina ki tarah ghafil khol chhati ke kiwaD
dekh tu hai kaun bare tere kashane ke bich
sair-e-bagh-e-bostan to hai muyassar har ghaDi
aaiye gahe faqiron ke bhi kashane ke bich
jo maze hain marg mein so hum se puchha chahiye
kaun jaane aah kya lazzat hai mar jaane ke bich
uqda-e-dil khol misl-e-qatra nadan kab talak
jun guhar ghaltan rahega aab aur dane ke beach
pech-o-tab itna jo hai yan is dil-e-sad chaak ko
zulf uljhi hai kiso ki zahiran shane ke bich
baKHt KHwab-alud ne mere sulaya us ko 'dard'
warna phunka tha hi afsun main ne afsane ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.