Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kyun kar main KHak Dalun soz-e-dil-e-tapan par

Khwaja Meer Dard

kyun kar main KHak Dalun soz-e-dil-e-tapan par

Khwaja Meer Dard

kyuuñ kar maiñ ḳhaak Dālūñ soz-e-dil-e-tapāñ par

mānind-e-sham.a merā kab hukm hai zabāñ par

maiñ kis tarah butoñ ke sāmne jhukā duuñ

dil to dimāġh apnā khīñche hai āsmāñ par

kab iḳhtiyār apnā juuñ gul hai is chaman meñ

gulchīñ se kyā chale hai kyā zor bāġhbāñ par

maiñ jāntā nahīñ huuñ baiThe biThā.e yā-rab

yuuñ aa paḌī kahāñ se aafat ye merī jaañ par

tār-e-nigah pe dil yaañ donoñ taraf se dauḌe

do naT muqābil aaveñ jis tarah resmāñ par

ai 'dard' yaar jaisā hove so hai ġhanīmat

itnā bhī na rakhe har vaqt imtihāñ par

kyun kar main KHak Dalun soz-e-dil-e-tapan par

manind-e-shama mera kab hukm hai zaban par

main kis tarah buton ke la samne jhuka dun

dil to dimagh apna khinche hai aasman par

kab iKHtiyar apna jun gul hai is chaman mein

gulchin se kya chale hai kya zor baghban par

main jaanta nahin hun baiThe biThae ya-rab

yun aa paDi kahan se aafat ye meri jaan par

tar-e-nigah pe dil yan donon taraf se dauDe

do naT muqabil aawen jis tarah resman par

ai 'dard' yar jaisa howe so hai ghanimat

itna bhi ji na rakhe har waqt imtihan par

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now