paigham-e-yas bhej na mujh be-qarar tak
paiġhām-e-yās bhej na mujh be-qarār tak
huuñ nīm-jān so bhī tire intizār tak
de vo sharāb saaqī ki tā-roz-e-rustakHez
jis ke nashe kā kaam na pahoñche ḳhumār tak
sayyād ab rihā.ī se kyā mujh asiir ko
phir kis ko zindagī kī tavaqqo.a bahār tak
ne qadr-e-mai-kashī huī a.alam meñ yaañ ta.iiñ
hai sarf-e-shīshā shaiḳh ke sañg-e-mazār tak
rāh-e-adam meñ 'dard' maiñ itnā huuñ jald-rau
pahuñchā sabā kā haath na mere ġhubār tak
paigham-e-yas bhej na mujh be-qarar tak
hun nim-jaan so bhi tere intizar tak
de wo sharab saqi ki ta-roz-e-rustakHez
jis ke nashe ka kaam na pahonche KHumar tak
sayyaad ab rihai se kya mujh asir ko
phir kis ko zindagi ki tawaqqoa bahaar tak
ne qadr-e-mai-kashi hui aalam mein yan tain
hai sarf-e-shisha shaiKH ke sang-e-mazar tak
rah-e-adam mein 'dard' main itna hun jald-rau
pahuncha saba ka hath na mere ghubar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.