kuchh dil hi bagh mein nahin tanha shikasta-dil
kuchh dil hī baaġh meñ nahīñ tanhā shikasta-dil
har ġhuncha dekhtā huuñ to haigā shikasta-dil
hāthoñ se mohtasib ke haiñ ab mai-kada ke biich
sāġhar shikasta-kHātir-o-mīnā shikasta-dil
shādī kī aur ġham kī hai duniyā meñ ek shakl
gul ko shagufta-dil kaho tum yā shikasta-dil
yā rab durust-go na rahūñ tere ahd par
banda se par na ho koī banda shikasta-dil
kī jis kī juuñ habāb zamāne ne dil-dahī
chhoḌā na phir use na kiyā tā-shikasta
lāzim hai goshā-e-shikan zulf meñ tirī
zālim koī paḌā rahe mujh-sā shikasta-dil
sab ḳhūn-e-dil Tapak hī gayā būñd-būñd kar
ai 'dard' bas-ki ishq se maiñ thā shikasta-dil
kuchh dil hi bagh mein nahin tanha shikasta-dil
har ghuncha dekhta hun to haiga shikasta-dil
hathon se mohtasib ke hain ab mai-kada ke bich
saghar shikasta-kHatir-o-mina shikasta-dil
shadi ki aur gham ki hai duniya mein ek shakl
gul ko shagufta-dil kaho tum ya shikasta-dil
ya rab durust-go na rahun tere ahd par
banda se par na ho koi banda shikasta-dil
ki jis ki jun habab zamane ne dil-dahi
chhoDa na phir use na kiya ta-shikasta
lazim hai gosha-e-shikan zulf mein teri
zalim koi paDa rahe mujh-sa shikasta-dil
sab KHun-e-dil Tapak hi gaya bund-bund kar
ai 'dard' bas-ki ishq se main tha shikasta-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.