aalam-e-masti hai aaina-e-ruKH ruKH-e-pur-nur ka
aalam-e-masti hai aaina-e-ruKH ruKH-e-pur-nur ka
Khwaja Nasiruddin Chishti
MORE BYKhwaja Nasiruddin Chishti
ālam-e-mastī hai ā.īna-e-ruḳh ruḳh-e-pur-nūr kā
be-ḳhudī meñ dekhte haiñ ham tamāsha nuur kā
jalva-gar ik ik adā meñ hai tamāsha tuur kā
hai judā a.alam do-ālam se but-e-maġhrūr kā
ek rashk-e-hūr kī ulfat ne maarā hai mujhe
na.ash par chhiḌkāv hogā ḳhuld ke kāfūr kā
haq pe sar kaTvāte aa.e haiñ hamesha ahl-e-haq
kyā huā ki kaaTā agar sar-e-dār par mansūr kā
jab kiyā dil meñ tasavvur us sarāpā nuur kā
jalva pahlū meñ nazar aayā charāġh-e-tūr kā
zabt soz-e-ishq ne phūñkā hai 'nāsir' is qadar
dil nahīñ pahlū meñ ik sho.ala hai barq-e-tūr kā
aalam-e-masti hai aaina-e-ruKH ruKH-e-pur-nur ka
be-KHudi mein dekhte hain hum tamasha nur ka
jalwa-gar ek ek ada mein hai tamasha tur ka
hai juda aalam do-alam se but-e-maghrur ka
ek rashk-e-hur ki ulfat ne mara hai mujhe
nash par chhiDkaw hoga KHuld ke kafur ka
haq pe sar kaTwate aae hain hamesha ahl-e-haq
kya hua ki kaTa agar sar-e-dar par mansur ka
jab kiya dil mein tasawwur us sarapa nur ka
jalwa pahlu mein nazar aaya charagh-e-tur ka
zabt soz-e-ishq ne phunka hai 'nasir' is qadar
dil nahin pahlu mein ek shoala hai barq-e-tur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.