dekha jo tujhe kafir din-dar bahut roya
dekhā jo tujhe kāfir dīñ-dār bahut royā
zāhid bhī paTak apnī dastār bahut royā
fariyād-o-fuġhāñ zaarī kyā kyā na kiyā dil ne
jab kuchh na chalā us kā nā-chār bahut royā
jab sabr mirā dekhā tab sabr ba-tañg aayā
āzār mujhe de kar āzār bahut royā
bad-mastī se machlā kar le dil ko paTak maarā
jab phuuT gayā shīsha mai-ḳhvār bahut royā
kis taur se maarā thā ai āfat-e-jāñ sach kah
jo zaḳhm ke hañsne par afgār bahut royā
kis taur taḌaptā thā ai 'ishq' jigar-pāra
jo qatl tujhe kar ke ḳhūñ-ḳhvār bahut royā
dekha jo tujhe kafir din-dar bahut roya
zahid bhi paTak apni dastar bahut roya
fariyaad-o-fughan zari kya kya na kiya dil ne
jab kuchh na chala us ka na-chaar bahut roya
jab sabr mera dekha tab sabr ba-tang aaya
aazar mujhe de kar aazar bahut roya
bad-masti se machla kar le dil ko paTak mara
jab phuT gaya shisha mai-KHwar bahut roya
kis taur se mara tha ai aafat-e-jaan sach kah
jo zaKHm ke hansne par afgar bahut roya
kis taur taDapta tha ai 'ishq' jigar-para
jo qatl tujhe kar ke KHun-KHwar bahut roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.