agar dil-dar main ruswa na hota
agar dil-dār maiñ rusvā na hotā
to tere husn kā shohrā na hotā
na hotā misr kā bāzār hī garm
agar us 'ishq kā saudā na hotā
kahāñ jā ḳhaak dīvāne uḌāte
agar ye gosha-e-sahrā na hotā
agar parda na hotā kufr-o-dīñ kā
nashīd-e-'āshiqāñ baalā na hotā
nikaltā nā-ummīdī se mirā jī
agar ye va.ada-e-fardā na hotā
ḳhudā.ī kab mayassar tujh ko hotī
agar ye 'ishq'-sā banda na hotā
agar dil-dar main ruswa na hota
to tere husn ka shohra na hota
na hota misr ka bazar hi garm
agar us 'ishq ka sauda na hota
kahan ja KHak diwane uDate
agar ye gosha-e-sahra na hota
agar parda na hota kufr-o-din ka
nashid-e-'ashiqan baala na hota
nikalta na-ummidi se mera ji
agar ye wada-e-farda na hota
KHudai kab mayassar tujh ko hoti
agar ye 'ishq'-sa banda na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.