shaiKH kya jaane sharab-e-arghawani ka maza
shaiKH kya jaane sharab-e-arghawani ka maza
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
shaiḳh kyā jaane sharāb-e-arġhavānī kā mazā
aah mustasqī se pūchho sard paanī kā mazā
juuñ sharāb-e-kohna kaifiyat meñ hove nau-ba-nau
maiñ kuhan-sālī meñ paatā huuñ javānī kā mazā
jis kī āñkhoñ meñ khaTaktā hove kuchh kyā jaane vo
ḳhvāb-ālūda samajhtā hai kahānī kā mazā
hijr meñ pī-o-javāñ donoñ haiñ kHvār-o-kHasta-tan
vasl meñ ma'ashūq ke hai zindagānī kā mazā
jaan par ab aa banī hai 'ishq terī dekh le
yār-e-jānī kā mazā haañ yār-e-jānī kā mazā
shaiKH kya jaane sharab-e-arghawani ka maza
aah mustasqi se puchho sard pani ka maza
jun sharab-e-kohna kaifiyat mein howe nau-ba-nau
main kuhan-sali mein pata hun jawani ka maza
jis ki aankhon mein khaTakta howe kuchh kya jaane wo
KHwab-aluda samajhta hai kahani ka maza
hijr mein pi-o-jawan donon hain kHwar-o-kHasta-tan
wasl mein ma'ashuq ke hai zindagani ka maza
jaan par ab aa bani hai 'ishq teri dekh le
yar-e-jaani ka maza han yar-e-jaani ka maza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.