aatish se miyan garm hai bazar-e-mohabbat
aatish se miyan garm hai bazar-e-mohabbat
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
ātish se miyāñ garm hai bāzār-e-mohabbat
jalte haiñ ta.assuf se ḳharīdār-e-mohabbat
taklīf masīhā ko na do vāste is ke
mohtāj davā kā nahīñ bīmār-e-mohabbat
be-sar pe ye sirr khulte haiñ sar deve to samjhe
har ek pe zāhir nahīñ asrār-e-mohabbat
hai muft agar jī ke 'evaz lījiye us ko
sehat se mujhe ḳhuub hai āzār-e-mohabbat
ai qibla-e-hājāt du'ā 'ishq' kī sun le
aayā hai tire paas talabgār-e-mohabbat
aatish se miyan garm hai bazar-e-mohabbat
jalte hain tassuf se KHaridar-e-mohabbat
taklif masiha ko na do waste is ke
mohtaj dawa ka nahin bimar-e-mohabbat
be-sar pe ye sirr khulte hain sar dewe to samjhe
har ek pe zahir nahin asrar-e-mohabbat
hai muft agar ji ke 'ewaz lijiye us ko
sehat se mujhe KHub hai aazar-e-mohabbat
ai qibla-e-hajat du'a 'ishq' ki sun le
aaya hai tere pas talabgar-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.