aankhon ki teri gardish-e-sarshaar dekh kar
aankhon ki teri gardish-e-sarshaar dekh kar
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
āñkhoñ kī terī gardish-e-sarshār dekh kar
andhī huī hai nargis-e-bīmār dekh kar
kahtā huuñ sab ko ek hī lāThī na hāñkiye
kiije sulūk har kisī se yaar dekh kar
ai ham-nafas ye kahiyo ki āñkhoñ meñ dam hai aa
ho jāvai ḳhush vo āḳhirī dīdār dekh kar
phūloñ kā haar gūñdh ke aayā thā yaar paas
vo to gale kā haar huā haar dekh kar
aayā jo mast-e-nāz vo ḳhūbān-e-rozgār
pāmāl ho ga.e haiñ ye raftār dekh kar
dil meñ ḳhayāl thā ki use kuchh kaheñge 'ishq'
muñh dekh rah ga.e use nā-chār dekh kar
aankhon ki teri gardish-e-sarshaar dekh kar
andhi hui hai nargis-e-bimar dekh kar
kahta hun sab ko ek hi laThi na hankiye
kije sulūk har kisi se yar dekh kar
ai ham-nafas ye kahiyo ki aankhon mein dam hai aa
ho jawai KHush wo aaKHiri didar dekh kar
phulon ka haar gundh ke aaya tha yar pas
wo to gale ka haar hua haar dekh kar
aaya jo mast-e-naz wo KHuban-e-rozgar
pamal ho gae hain ye raftar dekh kar
dil mein KHayal tha ki use kuchh kahenge 'ishq'
munh dekh rah gae use na-chaar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.